Mujhe iss topic mai ek nayi baat ka bhi abhaas huya. Baaki aap log batana theek hai ki nahi -
Prati samay har aatma ke paas kaafi saare alag alag parinaam hone ke options hai. Par har aatma apne apne hisaab se alag alag parinaam karti hai.
Jab kevali bhagwaan iss baat ko apne gyaan mai dekhte honge toh unko toh spasht ek hii parinaam dikhai deta hai. Wah toh sirf yeh dekh paate hai ki iss particular samay mai iss aatma ke yahi parinaam hone waale hai.
Kehne ka matlab aatma swatantra toh hai apne parinaam aadi karne mai par jin sarvagya ko sampurrn avadhi aur keval gyana ho unko toh sirf wohi parinaam dikhai deta hoga jo vah aatma uss samay par karne waali hai.
Kevali bhagvan yah toh jaante hai ki ek samay mai kitne saare alag alag parinaam ho sakte hai par vah yeh bhi jaante hai ki kisi particular samay par kisi particular aatma ke konse parinaam hone waale hai.
Iss reason se hum jaise logo ko aisa lag sakta hai ki future decided hai par aisa hai nahi. Kyunki aap kaunse parinaam karna chahte ho yeh toh bhut-bhavishya-vartmaan teeno kaalo mai aap hii ke haath mai hai.
Par jo aatma avadhi ya keval gyana se aapka bhavishya aadi dekhti hai wah toh sirf uss particular samay mai hone waali kriya aur parinaamo ko hii jaanti hai.
Kya jo maine upar likha wo galat hai? @Sulabh @shubham1993jain @jinesh @Abhay @Sowmay @Aniteshj @Chinmay