छने एवं अनछने जल से संबंधित शंकाएँ

छने हुए जल की मर्यादा पूर्ण होने पर उसे पुनः छान कर क्या प्रयोग में लिया जा सकता है? कृपया कारण सहित स्पष्ट करें।

4 Likes

Yadi hum soche toh ek prakaar se kuch anuchit nahi. Jaise hum samanya jal (jiski maryada purn ho chuki ho) uske baad usse hum chaan kar pratham baar prayog karte hai. Usi prakar yadi hum uss jal ko punah prayog kare toh ek roop se koi hani nahi honi chahiye.
Parantu Jab humare paas naya jal, samay se evam uchit sthan se, mil raha ho toh hame ussi ka upyog karna chahiye. Yeh uss prakar se kyuki Hum Koi vastra naye pehne aur 100 baar pehen ne ke baad hum usse nikal dete hai, ussi prakar jitna taaja jal ho utna hi accha.

Chane hue jal ki maryada purn hone par use punah chan kar upyog me liya jaa sakta hai. Isme koi dosh nahi hai. Parantu, ek baar use ubal liya ho, maryada 24 ghante ki ho chuki hai toh use punah upyog me 24 ghante ke baad chan kar nahi liya jaa sakta kyunki usme ab prasukta ki shakti nahi rahegi.

6 Likes

What if boiled water is not utilised under 24 hours, then there will be no use of that water. What should be done in this situation?

2 Likes

You will have to throw it away which I know is against the environmental rules, but in this case you can use the same water for watering plants.

5 Likes

And yeah, that’s why it’s said to perform any ‘kriya’ ‘buddhipurvak’ or ‘yatnacharpurvak’ or with utmost care.

7 Likes

I may be wrong, but I have a doubt. As per my understanding, prasukta means purity. How can you say that water which has been boiled is not capable of getting pure again? The water you get from any source has been boiled infinite times in the past. You said that’s why we should do everything with utmost care. May be it is said because we have to kill microorganisms every time we boil water.

Hum sab ye baat mante h ki chane pani ko dobara chan ke prayog karne me koi hani nahi.
Ho sakta h mai galat hu, lekin mere hisaab se to maryada poorn hue paani ko dobara chan ke use karna better h, na ki naya paani peene me. Maryada poorn hua paani chane hue jyada samay nhi hua h, to usme kam jeev paida hue honge , to hume kam jeevo ko channa hoga, to hame kam jeevo ko kasta pahuchana hog, kyunki chaane me jeevo ko kashta hota h.

Aapne udharan kapdo ka udharan dia. Kapde pahenke gande hoti h. Par paani chaan ke saaf hota h. To mariyada poorn hua paani jyada saaf h na ki fresh water.