Nikachit karm se kese bache?

nikachit karm kise kehte he, inka bandhan kis prkar hota he. r
Roz ki dincharya me hum nikachit karm kon se bhav ya activity ke dwara bandh lete he kripiya udahran dekar batye.
dhanyawaad

2 Likes

जिन कर्मो में उत्कर्षण , अपकर्षण,उदीरणा, संक्रमण संभव न हो उसे निकाचित्त कर्म कहते हैं।
निकाचित्त कर्म के उदाहरण-1.भरत चक्रवर्ति को छह खण्ड़ की विभूति भोगनी ही पड़ी ।
2.सीता जी को अग्नि परिक्षा देनी पड़ी ।

5 Likes

per mujhe ye janna he ki, meri roz ki dincharya me , mein in karmo se kese bachu, iske udharan dijiye please

बुद्धि पूर्वक जो पाप कार्य किया जाता है वह अनाचार में आता है।उसका प्रायचित संभव नही है।
वह कर्मो को भुगतना ही पड़ता है।

2 Likes

Humare mann mai bhi yeh chinta bahot thi.

Phir humne acharya shri vidyasagarji maharaj ke sangh ke ek muniraaj se iss sandarbh mai poocha toh unka yeh uttar tha -

Prati samay humara jitna bhi karma bandh ho raha hai uss mai se kuch bhag niyam se nikachit prakarti ka hota hai. Par woh itna vishesh faldaayi nahi hua karta.

Toh unka kehna tha ki nikachit karmo se darna kuch zyaada logical nahi hai. Jo samyakdrishti apni aatma ko jaanta hai woh hamesha karma aur karma fal se virakt hii raha karta hai. Aur agar kisi samyakdrishti ko purv janma ke paap vash nikachit karmo ka fal bhogna bhi pad jaaye toh usko bhi badi samta se bhogta hai. For eg : Shri Raam Balbhadra aur Shri Lakshmana Narayana ka 14 saal ka vanvaas.

Nikachit karmo ka kuch bhag bhi jinendra bhakti aadi kriyao se kaata jaa sakta hai.
Aur agar koi nikachit prakarti ka paap ka uday koi utkrisht punya ke uday ke saath bhi ho sakta hai toh itni chinta ki koi baat nahi hai.


Finally mai yeh bhi kahunga ki hum mai se koi bhi nikachit karma se specifically nahi bach sakta bas aap aisa kar sakte hai ki paap kriyao ko kam se kam kare aur iccha purvak toh bilkul bhi naa kare.

4 Likes

bhot baar me jhooth se bachne ke liye, sentence ko ghuma phira kar bol deta hu, jisse wo jhooth bhi n ho aur kaam bhi ho jaye, aur bhi esi kriyaye krta hu.
kya yha nikachit hoga, ya ye simple paap he, ya kch aur.

1 Like

ji aapki baat toh bilkul sahi he, per jab tak samyaktv ki prapti n ho, mjhe in karmo se bachna he chahiye. Aur baat darr ya bhay ki nhi, mjhe inse bachne ke upay dhundu, abhi toh yahi yogya he, kyuki me n chahkar bhi bhot baar ikccha per control khokar galt kaam kr jata hu.yha smjhne se, uske prati aur jyda sajagta aur aatm bal badega.
aapka dhanyawad

1 Like

Adding to the above discussion,plz tell kya ye nidhatti nikachit karm ka bandh shubh and ashubh dono roop m hota h?

Also give separate example of nidhatti and nikachit both.

And what is difference btw nidhatti,nikachit and nidan bandh.

2 Likes

निधत्ति- संक्रमण और उदीरणा के अयोग्य प्रकृतियों को निधत्ति कहते हैं।
निकाचित- संक्रमण, उदीरणा, उत्कर्षण और अपकर्षण के अयोग्य प्रकृतियों को निकाचित कहते हैं।
भरत चक्रवर्ती को 6 खण्ड का भोग भोगना पड़ा, अतः शुभ रूप बंध हुआ।
सीता जी को अग्नि परीक्षा देनी ही पड़ी अतः अशुभ रूप भी हुआ।

5 Likes