Nigod to Nigod via human life

Ek shareer ka ek swami- pratyek vanaspati (shareer m jeev aur bhi ho sakte h par swami roop m nahi)
Ek shareer k anant swami- sadharan vanaspati (ye hi nigod kehlata h)

*swami ka arth Ek Loki ki sabji se samjh sakte h.
Wahan ek to puri loki ka ek jeev h jo ki pratyek vanaspati h.
Yadi loki aviksit awastha m h to vah saprathisthit vanaspati h kyunki us samay uske aadhar se sadharan vanaspati rehti h. Arthat us samay us loki k andar hi chhote chhote ek ek shareer m anant jeev niwas kar rahe h. Us chhote ek shareer k ek sath anant swami h jinhe sadharan vanaspati ya nigod kehte h.
Paripakva awastha hone par wahi loki aprathisthit ho jati h. Tab usme sadharan vanaspati nahi rehti hai, arthat wah anant jeevo ka sthan nahi rehta.

Saprathisthit vanaspati sada bahughat abhakshya ki category m aate h.

2 Likes