Bharat me yog , dhyan ke jo kendra khule he, kya ve bhi samyak darshan me nimitt ho sakte he

aaj bharat me, har jagah dhyan ki hod lagi he, aankh band krne wala dhyan, roshni dekhne wala dhyan, aur bhi bhot. toh kya ye jo dhyan bata rhe he, ye sahi aur aatmadarshi banane me sahayak he?
kyuki mene suna he, inse logo ko bhot jayda shanti ka anubhav ho rha he, kuch ko toh vairagya he aagya.
please bataye , ki iski sarthakta ya ye aashayak kese he?

1 Like

Aisa dhyaan shaanti prapt karne ke liye toh theek hai parantu moksha prapt karne ke liye nahi.

Yeh saari dhyaan kaksha shivir aadi concentration badhane mai aur logo ko shaanti ka anubhav karane mai toh saksham hai parantu moksha maarg ke liye jo dhyaan hai wah kuch alag hai.

Jin 1-2 ko vairagya ho bhi jaaye uss dhyaan se toh bhi koi laabh nahi kyunki mithyadrishti ka vairagya moksha mai sahayak nahi hota.

Tattva aur padhartho ka gyaan karna aur dravya aadi ko samajhkar phir uska sthirchitt se dhyaan karna zyaada sahayak hai. Kyunki usse shaanti toh milti hii hai saath hii saath moksha maarg mai vriddhi bhi hoti hai.

1 Like

kya jo jain dharm ko nhi maanta ,per samyaktv ki baat bakhubi jaanta he, samjhta he, daily swaadhyyay krta he,
kya usse samyak darshan ho skta he.

Agar samyaktva ki baat bakhubi jaanta ho samajhta ho aur swadhyay aadi saari kriya karta ho toh phir toh woh Jain hii ho gaya na. Phir toh samyakdarshan ho hii sakta hai.

Idhar nahi maan ne se kya taatparya hai?

Agar Jain dharma mai uski aatma ka shraddha gun ka abhaav hoga tab toh samyakdarshan ki prapti nahi ho payegi.

1 Like

per veetragi bhagwan ka , uske pass aabhav hena. jinvar ki mahima , unke gungaan se wo anbhigya he.esa pucha tha.

See this video.

2 Likes

dhanyawaad, per mera ek aur sawal he.
agar koi bhagwan ko janta he nhi, unke guno ka pta nhi.per apni aatma ke guno k pata he.
kya usse bhi samyaktv ki prapti ho sakti he, vyavahar se pucha he.

Aap thoda swadhyay kare. 2-3 books padh le. Phir questions kare. Ye group unke lie hai jisne kuch books padhe hain. Aapke questions dekh kar lagta hai ki aapne kuch bhi swadhyay nahi kia abhi tak.

Start with this.

2 Likes