Aakhir kyu ho rha he dharm palayan?

jab bhi me dekhta hu ki, ek ladki ne anya dharm me shadi ki ya kuch galat kia toh bhot dukh hota he ki, hum apni behno ko nhi bacha paa rhe he, unhe uss janjaal se nhi kheech paa rhe he.
shayad hamne usse niyati per chhod dia he isiliye. hum apne dhram ka anusaran, iski prabhavna toh bakhubi kr rhe he, per ek din esa bhi aaega ki sirf iski prabhvna krne wale he dikhenge, aur anusaran krne wale bhot kam.
kyu hum isse nhi rok paa rhe he.

Mere hisaab se iske kuch chhote kaaran hai -

Vyavahar Nay ki apeksha se(Practical life viewpoint) -

  1. Maa-Baap apno baccho par aankh mundkar vishwas karte hai yeh soch kar ki woh bacche kuch galat nahi karenge par wahi bacche unki aankho ke peeche unko dhoka dete hai. For eg : Baccho ko tuition aadi bheja jaata hai par bacche tuition jaane ke bajay bunk maar ke apne dosto ke saath ghoomte huye paaye jaate hai.

  2. Maa-Baap bahot jaldi apne baccho ke haath mai android mobile ya fir i-phone pakda dete hai. Mobile aur Internet khud mai ek aisi cheez hai jiska durupyog hona bahot aasaan hai aur sadupyog hona bahot mushkil. Aajkal baccho mai kaafe saare galat addiction yeh mobile se liye huye gyaan aur sansadhano se hii aa rahe hai.

  3. Maa-Baap baccho ko zabardasti sanskaar dene ki koshish karte hai par unko unn sanskaaro ko dharan karne ka vastavik mahatva nahi batana chahte. Kuch bhi poochne par bas aisi reasoning dii jaati hai ki - “bado ka kehna maan lena chahiye” or “yeh aisa hii chalta aa raha hai toh tumko bhi isko follow karna padega”. Aise mai baccha isko zabardasti follow toh karta hai par pariksha ka samay aane par apne charitra ko khandit kar deta hai.

  4. Aajkal mithyatva aur bhog bhotikta ka yug chal raha hai jaha par kaafi bacche bade kutil aur khote charitra ka paalan karte hai aur apne mitron ko bhi wahi sikhati hai. Aise mai jab koi acche charitra ka ladka ya ladki unka mitra banta hai toh woh usko bhi bura rasta dikhane mai der nahi karte.

  5. TV/YouTube aadi par bhi aise programs ki bahulta hai jinko dekhne se vishesh raag, vikari parinaamo ki utpatti ho aur aatma vishay vasna mai rakt ho jaaye. Inn khote upanyas, karyakram aadi se bachne ke liye svayam ka charitra dridh hona bahot avashyak hai.

  6. Humara bhojan paani bhi bahot gadbad ho gaya hai. Bazaar ki tamaam vastu aur garishta bhojan karne se humare mann aur indriyo ki pravritti bhi bahot galat disha mai jaane lag gayi hai. Aagam mai Charudatt ka udhaaran milta hai jisko padhke khud ba khud samajh aata hai ki jab koi bhi vyakti ghar ka bhojan chhod kar bahar ka bhojan karna shuru kar de tab se uski mannovritti kharaab hona chalu ho jaati hai.

Nischay Nay ki apeksha(Absolute permanence viewpoint) -

  1. Yeh pancham kaal hai. Yaha janam lene waale adhiktar jeev khoob khote sanskaar lekar aate hai purva janam se. Adhiktam jeev mahaan paapi aur kashayi bhi hua karte hai. Acharyo ka kehna hai ki pancham kaal se maximum jeev ya toh narak ya fir tiryanch gati mai se aate hai aur usi mai wapas chale jaate hai maran hone ke baad.

  2. Agar kisi jeev ke purv janam ke utkrisht moh karma ka uday aayega toh swabhavtaha uske parinaamo mai giravat aayegi. Aise jeev ko sahi marg par banaye rakhna aasaan baat nahi. Aagam mai aise aneko udharan milte hai jaha dharmatma bhi maarg se bhatak gaye thay.

Conclusion -

Koi bhi jeev apne aapko ko chhod kar kisi aur dravya mai parivartan karane mai samarth nahi hai. Isliye karta pane ka bhaav chhod kar hum koshish zaroor kare dusro ko sahi marg par rakhne ki par agar phir bhi koi na samjhe toh unko unhi ke haal par chhod de. Samay ke saath jab parinaam badlenge toh unko apne aap sab samajh mai aa jayega.

5 Likes

Slightly touching and answering your question…
घर घर पाठशाला, हर घर पाठशाला: https://www.youtube.com/playlist?list=PLzi_nN7hhdrAHhBrBezpjMyE0rRRAIB_Y

4 Likes