क्या विदेह क्षेत्र में आचार्य परमेष्ठी होते हैं?

विदेह क्षेत्र में शुद्धोपयोग को छोड़कर शुभोपयोग रूपी आचार्य पद को कौन ग्रहण करना चाहेगा ? अपने निर्वाण के लिए मिला अमूल्य समय क्यों कोई शुभ क्रियाओं में लगाकर अपना संसार बढ़ाएगा ?

अगर वहां आचार्य नहीं होते, तो जब भरत और एरावत क्षेत्र में भी चौथा काल होता है तब क्या साक्षात आचार्य परमेष्ठी नहीं होते पूरे लोकाकाश में ?

Disclaimer : Mai 7th Gunasthan se shuddhupyog maanta ho isliye mere answer mai thoda difference ho sakta hai.

Koi bhi acharya parmesti ho ya muni maharaj ho, woh hamesha shuddhupyog mai nahi rehte. Apne apne samay par unko charya bhi karni pad sakti hai purva karma anusaar kyunki aisa sambhav hai ki unke moksha jaane ka samay abhi nahi aaya ho.

Isliye unke pravritti ke samay 6th Gunasthan hota hii hai jisme keval shubhupyog hai.

Seedha dikshit hokar koi bhi muniraaj shuddhupyog mai chhalang(jump) maarte ho aisa bhi sambhav hai nahi kyunki aagam ne har gunasthan mai jeevo ki sankhya batai hai jo usse zyaada kabhi nahi ho sakti.

6th Gunasthan mai maximum - 5,93,98,206
7th Gunasthan mai maximum - 2,96,99,103
8th Gunasthan mai maximum - 299 Upsham shreni waale
598 Kshapak shreni waale

Aur har samay mai kshuddhupyog har aatma ko ho aisa bhi koi vidhaan aagam mai nahi milta. Isiliye muniraaj/upadhyay/acharya toh bas 28 mulgun purvak apni charya karte rehte hai aur shubhupyog ke samay shuddhupyog ki bhavna bhaate hai par jab tak samayik aadi mai nahi baithe ho aur aatma mai woh ekatva ki lay nahi ho tab tak shubhupyog roop parinaman karte rehte hai.

4 Likes

@Abhay
Are u sure ki videh kshetra m aacharya parmeshthi nhi hote?
I mean agar aacharya nhi honge to gandhar kon hoga ?Aur agar gandhar nhi honge to bhagwan ki divya dhwani kaise khiregi?
I may be wrong plz correct.

2 Likes

Hote hain,
Actually previously I felt that punya is सर्वथा हेय and we need to shed punya also along with paap. So, I thought why will anybody become Acharya in videh ksetra and increase his संसार by doing punya kriya when all required environment exist to get moksh.

But, I was wrong then. To achieve kevalgyan, stock of punya accumulated will pose no hindrance. And, if we achieve kevalgyan, moksh will be a guarantee in that भव itself.

So, पुण्य श्रद्धा में हेय है अपितु क्रिया में उपादेय है।

Acharya definitely exist in videh kshetra also because they are one of panch parmesthi.

5 Likes