Spreading incorrect knowledge of Jain principles

Aajkal ke yug mai Jain Dharm ke itne saare panth ban gaye hai jisme se kaafi saare toh keval pichle 50-80 varsh mai bane hai.

Saare panth Jain dharm ke kuch mukhya siddhantho apne hisaab se different interpret karte hai. Aur phir uss different vichaardhaara ka promotion uss panth ke anuyayi karte hai.

Kya aisa different interpretation ka prachaar karna theek hai jisme humko khud hii uss interpretation ka sahi hona ya na hona na maalum ho?

(Kevali shrutkevali bhagwaan ke abhaav se hum yeh nahi jaante ki kaunse siddhant ka interpretation theek hai aur kaunsa interpretation galat hai)

Mere iss sawaal ko poochne ke peeche ka motive ye hai ki galat gyaan ke prachaar se swayam ko bhi mahaan mithyadarshan ka bandh hota hai aur auro ki bhi dhaarna bigaad kar hum unko bhi mithyadrishti hii banaye rakhte hai.

Toh aise mai kya kiya jaaye? Kya gyaan ka prachaar keval seemit dhang se kiya jaaye ya kuch aur bhi tareeka ho sakta hai??

3 Likes

Your concerns are valid, below steps should be taken to verify any ‘propagated truth about Jain principles’:

  1. Check if they have provided authentic sources like ShatKhandagam, Dhavalaji, Acharya KundaKunda Granths, Acharya Samantbhadra granths etc.
  2. Cross verify these above verse from these granths published by different Jain organisations, two opposing organisations the better.
  3. Are they conveying the same message if possible.
  4. Do they go against very fundamentals of Jainism.
  5. If possible ask scholars from different schools of thoughts.
  6. Try to spot any pattern and validity of arguments and principles.
  7. Ask anyone with knowledge but do not give the context because then their bias might creep in. Keep the discussion academic.

Hope this helps.

5 Likes

Arre toh jiski bhaavna bigad gayi uss mai koi vyakti nimitt toh hoga na. Nimitt ko bhi toh dosh lagega.